Skip to main content

Islamic history and events

Duniya ki tamam qoamon or mazhabon mein srf islaam he aisa mazhab hai or musalmaan he ek aisi qoam hai jis ki tareekh shuru se lekar aakhir tak mukamal halat mein mehfooz mojood hai .
or us ke kisi hise mein shak nahi mil sakta
musalmano ko fakhar hai ke wo islaam ki mukamal tareekh hum uhd morkheen or
aini mushahidon ke bayan se muratib kersakte hain or phir hum uhd morkheen or mustand siqa rawiyon ke bayanat mein tawatr ka darja bhi dikha sakte hain.
Hazrat Adam as ke waqt se islam dunya mein mojood chala ata hai
lekin huzoor swww ke zamane se islam ki ibtida samjhii jatii hai qk ap swww bani e islam or aap swww ki he umat ko ahl islam kaha jata hai..

Ashab feel event

kuch dino ke lye mulk yaman per shah habsh ka qabza hogya tha yh ap swww ke dada abdul mutalib k zamane ki baat hai  us zamane mein shah habsh ki tarf se ابرہستہالاشرم abraha yaman ka soobe dar tha usne yaman m ek معبد tayar kya or ahl arab ko targeeb di k khana qaba ke bajae iski taraf rukh kya kren lkn usko apni is tehreek mein qamiyabi naaa hui balke ek arab ne moqa paker uske معبد m uski tazlil ke lye nijasat krdi  ابرہا ne josh e intiqam m makkah per charhai ki or is irade se rawana hua k khana qaba ko مسمار krduga uski foj mein hathi bhi the isi lye makkah walon ne is foj ka nam ashab feel rakha makkah ke qareeb pohnch kr jab abraha ne qayam kya quraish e makkah is khabr ko sun kr khof zida huwe qk abraha powerful tha quraish ne mil kr abdul mutalib ko abraha k pas bheja or kaha k koi soorat behtri ki nikalen wo abraha k pas gye unki masoom shareef soorat dekhi or sardari ka haal suna tou bohut abraha mutasr hua or izat maqam per bithaya aane ka maqsad pucha abdul mutalib ne kaha apke lashkar ne mere 40 ya 200 oont pakar lye hainn wo mjhe dilwaen jaen abraha ne kaha m tmko aqalmand samjhta tha lkn mera khayal ghalat nikla tmko maloom h m khana qaba ko masmaaar krne aya hun lkn phr b tmne oont lene ki koshish ki qaabe ko bachane ki nh abdul mutalib ne kaha m tou oonton ka malk hun lkn us ghr ka bhi ek malik h wo apne ghr ki hifaxat khud karega abraha is jawab ko sunkr برہم hua or kaha acha m dekhuga ke rabul bait mjhko ks tarah rokta h uske bad uske lashkar per tabahi aaai uske baad yaman ki hukumat سیف بن ذی یزن mili usne abdul mutalib ko basharat di k apki aulad se akhri nabi swww honge


7 saal ki umer m 


           

       


Ap swww ka pehla safr e shaaam

ap swww ki umer jab 12 saal ki thi k abu talib ek tijariti qafile ke hamrah kuch maal tijarat lkr sham ki taraf jane lage 
ap swww ko makkah m he chorna chaha ap swww abu talib ki qifalat m akr her waq unke sath rehte the is judai ko bardasht na karske abu talib ne bhatije ki dil shakni gawara na ki or ap swww ko bhi apne hamraah mulk shaam ki taraf legye 
mulk sham ke junubi hise mein ek .aqab basri hain jab qafila wahan pohncha tou ek isai raahib ne jo wahan rehta tha or jis ka nam baheera tha ap swww ko dekh ke pehchan lya ke yehi akhri nabi hai
baheera abu tlib ke pas aya or kaha tmhara yh bhatija mabooos hone wal hai .inme wo nishaniyan hain jo toraat mein bayan hui hainn or injeel m ....munasib yh k tm isko aage na lejao or yahoodyon k mul m dalhil na hona .phr abu talib ne ap swww ko makkah wapas bhej dya ..

tijaaarat

nabi kareem swww jawan hue tou tijarat ki taraf unka shok hua
phr wo tijarat krte
or phr haxrat kadijaa rta ne ap swww ki imandari ka suna tou apne bhatije  قطمیہ se ki   معرفت is amar ki khuwaish ki k unka maaal ap swww tijarat k lye le jaen
bibi khadeeja bewah thi 2 shadiyan phle kr chuki thi dusre khawind ne bohut maaal chora tha banu asad qabile ki thi quraish m ek maal dar aurat samjhi jati thi

Shaam ka dusra safar ap swww ka

yeh tijaarati qafila jis k sath ap swww haxrat khadija ka maal leker eawana huwe ek صومعہ ke qareeb thehra is صومعہ m ek raahib tha jiska naam nastoora tha nabi kareeem swww ko dekha tou apne  صومعہ
se kutub samawiya lkr aya ap swww k pas akr apke jism or face ki dekh baaal shuru ki kbhi apko dekhta kbhi kutub samawya parht ko muqabila krta usne awaz di yaa aaall ghaaalib phr apne صومعہ ki chat per jakr sbko awaz dekr btaya k akhri nabii ki nishaniyan is shaks m pai jati hain phr sab mutmain huwe isi tarah ap swww kafi bar haxrat khadija ka maal lkr bahrain or yaman shaam ki taraf gye 
her martaba kafi faida hua maal m
phr haxrat khadija ne pegham e nikkah bheja or unka nikkah hogya abu taalib ne khuta nikaah parhaya ap sww ki umer 25 sal thi nikkah k waqt or haxrat khadija ki 40 saal.

35 years age 

khana qaaba m ksi bad ihtiati ki waja se aaag lag gai jiske sadme m se deewaren b shaq hogye thi quraish ne irada kiya k is imarat ko tor k newly bnaya jae walid bin mugayarah ne is kaam ko shuru kya .ii zamane m bandargah jiddah ke qareeb ek jahaz toot gya quraish ne phr us jahaz ki lakri khareed li yh lakri khana qaba ki chat k lye khareedi gai thi  .....
chat k lye poori lakri na thi isi lye khana qaba ko ibrahimi bunyadon per poora taameer nh kya balke ek taraf thori jagah chordi ab tameer buland hote hote us jagah pohchi k hijr aswad rakha jae hijr aswad per jhagra hua her qabile ka sardar chahta tha k kmein hijr aswad rakhun is jhagre m 5 din tameer ka kam band raha 
phr is majlis m abu umaya bin mugayarah ne tajweez pesh ki k jo sab se phle khana qaba m dakhil hota hua naxar ae us ko hakam muqrar kya jae jo wo fesla kre us per razi hojaen logon ne nigah utha kr jo dekha ap swww dakgil horhe the
sab ne unko dekhte he al ameen al ameen pukara ap swww gor farma kr kuch he der m jhagra khatam krdya sb sardar heran hogye ap swww ki zahanat per
ap swww ne is tarah fesla kya k ek chadar bichai us per hijr aswad apne hath se rakha phr her qabile k sardar se kaha chadar ka kona pakar lo sb ne mil kr kone pakr kr is pathar ko chadar k zarye uthaya jab pathar us jagah pohncha jahan نصب krna tha tou ap swww ne chadar se utha kr nasab krdya rakh dya mtlb kisi ko koi shikayat baki na rhi 

Comments

Popular posts from this blog

insani zindagi per aqeeda e tauheed ke asraat

tauheed ka aqeeda dill mein raasikh hojae shirk ke andeshe zehn se nikal jaen or insan ko kamil yaqeen hojae ke Allah ke siwa na kisi ke pass taqat hai na qudrat hai na uske siwa koi kuch de skta hai or na uske diye huwe ko koi rok sakta hai na kisi or ke hath mein nafa hai na nuqsaan tou uski shaksiat ko bohut mazboot bunyaden mil jati hain uski zindagi ke sare pehlu sanwar jate hain uski nikhri hui shaksiat ki kuch numayan nishaaniyan yeh hoti hain................... 1 khud'daari tauheed per yaqeen rakhne wala khud'daar or be niyaz hojata hai use yeh yaqeen hojata hai k qudrat rakhne wala srf Allah hai baki sab mere jese insaan hain aam be bas kamzor is lye uska sar srf Allah ke samne jhukta hai wo na dusre insano ke darwazon per hazri deta h na be jaan moorton ko sajdah kerta hai 2 inksaar  aqeedah e tauheed se inkisaar o tawazo peda hota hai qk tauheed ka aqeeda rakhne wala yeh janta hai k wo be bas h Allah k samne uske pass jo kuch hai sab usi ka dya hua h  ...

ایثار

duniya parasti agar insan ko khud garzi or mafad parasti sikhati hai tou deen daari us m jazba e ایثار peda kerti hai ...wo khud takleef utha kr makhlooq ilahi ko aram pohchata hai.uska amal Allah ki bargah mein sharf qabooliat payega Ap swww isaar or ikhalq ka behtreen namoona the wo sardar hone k bawajood bhi sadgi ki zindagi guzarte the ap swww k ghr se koi sawali khali hath nh lota sahaba karam b isaar ke jazbe se sarshaar the apni zaroorat per dusron ki hajat ko tarjeeh dete the mashoor qisa h jab musalmano se roomion ke muqabile m jane wali foj ke saman k lye madad li gai tou abu Bakar rta poora ghr ka saman lekr agye..... Allah farmate hain ویوثرون علی انفسھم ولو کان بھم خصاصہ  surah hashr .9 or wo dusron ko apni zaat per tarjeeh dete hain bhale khud faqe se he q na hon hijrat k moqe per ansar madinah rta ne muhajireen makkah rta ke sath jis issar qurbani ka saboot dya us ki misal tareekh m kahin nh milti.
ALLAH ka noor ek hidayat hai yani uska ilm hai or wo jisko apna noor e hidayat dede tou wo noorun ala noor hojata hai.